UDrive account delete karein
Version 2.1 · in effect from 2026-10-09
This translation is for convenience. The English version governs.
Aap apna UDrive account khud, app ke andr se delete kar sakte hain. Hum se poochne ki zaroorat hai na koi wajah batane ki.
App mein
- Settings kholein.
- Delete account par tap karein.
- Tasdeeq ke liye DELETE likhein.
Bas. Yeh foran lagu ho jata hai.
Chalti hui trip ke darmiyan account delete nahi hota — pehle trip mukammal ya cancel karein, phir dobara koshish karein.
Agar app na khul rahi ho
WhatsApp par hamein paighaam bhejein: 0335-6823975, usi number se jis par account bana hua hai. Hum number ki tasdeeq kar ke account delete kar dein ge.
Kya mit jata hai
- Aap ka email address mita diya jata hai, aur naam aur phone number ki jagah placeholder aa jate hain. Aap ka mobile number foran azad ho jata hai, to woh dobara register ho sakta hai — aap se ya kisi aur se.
- Har device par har khula hua session usi waqt khatam.
- Aap ke trusted contacts poori tarah mita diye jate hain.
- Agar aap UDrive par gaari chalate the: aap ka CNIC number, licence number, tareekh-e-paidaish, rehaishi pata, emergency contact aur bank ki tafseel mit jati hai, aap ka mehfooz kiya hua payout account mit jata hai, aur aap ki bheji hui CNIC, licence, selfie, registration book, gaari ki tasweerein aur wallet top-up ke screenshots hamari storage se mita diye jate hain.
- Aap ki aakhri maloom jagah mita di jati hai.
- Aap ki gaariyan service se hata di jati hain aur unke registration number azad ho jate hain.
Kya reh jata hai, aur kyun
Jo safar hue un ka record reh jata hai, magar us par aap ka naam nahi hota: booking, fare aur adaigi; rating aur raye; woh tanaza jis mein aap shaamil the, us ke sath lagai gayi files samet; trip ki chat mein bheje gaye aap ke paighaam; aur koi bhee emergency alert ya safety report jo aap ne di. Driver ka trips wala location record foran nahi mitta — woh apne mamool ke mutabiq 30 din mein khatam hota hai.
Hum ise teen wajah se rakhte hain: us safar ke dusre bande ka apne record par haq hai, hamara hisab barabar hona chahiye, aur kisi safar par tanaza ya tax ka sawal maheenon baad bhee aa sakta hai. Jo peeche bachta hai woh ek safar hai jo hua tha — woh shakhs nahi jisne kiya tha.
Hamara apna andaruni record — ke hamare staff ne kya kiya — bhee jawabdehi ke liye rakha jata hai.
Irada badal gaya?
Delete wapas nahi hota. Usi number se dobara sign up karne par aap ko ek naya, khali account milega — purane safar, ratings aur tasdeeq wapas nahi aayengi, aur driver ko shuru se dobara verify karwana parega.
Sawalat
UDrive WhatsApp: 0335-6823975